
Shaam bhayi, godhuli mein nirakhta raha,
Tera swaroop! Teri baatein! bus aur kahaan!
Shyam Tujhe Gokul main gopiyon ne paaya,
Vrindavan ki galiyon mein har pal tera saaya;
Samandar tat par Dwarika tune basayi,
Wahin par Yadavone sadgati hai payi;
Kanha par aaj tu dikha us insaan mein,
Lad raha zindagi ki taklifo tufaano mein;
Hai bhitar tu basa, khoj raha main kahaan?
Yaaron ka yaar tu, ek sirf tu, is pure jahaan…